Stuthi Logo
StuthiChords & Lyrics

Dil Ki Gehrai

Bridge Music
E
medium
36

Dil Ki Geharaai Se

Mann Ki Sachaee Se (2)
        
Yeshu Tujhe Chaahoon Har Dam
        
Yeshu Tujhe Pyaar Karoon Har Pal
 

Dil Ki Geharaai Se

Mann Ki Sachaee Se (2)
        
Yeshu Tujhe Chaahoon Har Dam
        
Yeshu Tujhe Pyaar Karoon Har Pal (2)
 

Shaam Aur Subah Main Gaata Rahoon
              
Jo Bhi Kiya Tune Mere Liye
                     
Ghor Andhakaar Se Main Guzroon Bhi To
               
Charwaha Hai Tu Kyun Darroon Main
 
             
Peeche Na Hatoonga Kabhi Mein
             
Tu Jo Chahega Karoonga Mein
               
Taakun Hamesha Tujhi Ko Main
               
Tere Vachan Se Badhoonga Main
 
 
                 
Zindagi Bhar Main Rahoon
                 
Teri Chhaaya Mein Prabhu
         
Mere Saare Sote
                    
Tujhme Hi Main Paata Hoon (2)
 
            
Meri Zindagi Teri Amaanat
          
Tu Hi Mera Pita
             
Mili Changaee Tere Lahoon Se
            
Yogya Tu Hai Khuda (2)
 
                         
Meri Stuti Ko Tere Charnon Mein
                       
Itr Ke Samaan Undelunga Main
       
Tere Charnon Mein
                     
Itr Ke Samaan Undelunga Main
 
       
Taakun Tujhi Ko Main Har Pal
             
Tere Vachan Se Badhoonga Main
               
Yeshu Tujhe Chaahoon Har Dam
      
Yeshu Tujhe Pyaar Karoon Har Pal