Dhanyawad deta hu tujhko
Godson ThomasE
4/4
beginner
9
pre-chorus Dhanyawad deta hu tujhko Dhanyawad deta hu tujhko. Dhanyawad deta hu mere yeshu ...x2 Aashishon ke liye barkaton ke liye Tujhse jo mili un baaton ke liye Mushkilon ke samay me tere dheeraj ke liye Tha main jab kamzor teri kuwat ke liye Dhanyawad deta hu tujhko Dhanyawad deta hu tujhko. Dhanyawad deta hu mere yeshu ...x2 Dhanyawad tera dhanyawad verse 1 Kya tha main kya tha gharana mera Tu aaya banke sahara mera Jo kuchh hoon wo hai teri daya Tujh bin tha jeevan adhura mera Peeche mudke jo dekha tu haazir tha sada Mere gam aur khushi me maine paaya tujhko sada Kho na jaaoon kahi mere paas rehna khuda Dil se bas ye chahoon rahoon saath tere sada Dhanyawad deta hu tujhko Dhanyawad deta hu tujhko. Dhanyawad deta hu mere yeshu ...x2 Dhanyawad tera dhanyawad verse 2 Aashayein hai tujhpe meri Tu hi hai mera aasra Jeevan hai tere hathon me Tujhpar hi bharosa mera Paapon ki gandagi se tune mujhko chhudaya Jaan deke apni mujhko hai bachaya Bichda tha tujhse mujhe apna banaya Thaamke mera hath mujhko hai chalaya Dhanyawad deta hu tujhko Dhanyawad deta hu tujhko. Dhanyawad deta hu mere yeshu ...x2 Dhanyawad tera dhanyawad